Archive for June, 2008

haal-e-dil

Posted on June 21, 2008. Filed under: shayari | Tags: |

A few lines i penned recently..

Shikwa karen kya un se, kya gila karen..
shikayat hai dil ko bas yeh, kabhi toh mila karen..
raah mein aksar jinki guzaari hain kai raatein..
kabhi toh chale aane ki, woh ittala karen..

——————————————

tanha musafir ko kyon sataate ho,
kyon mujhey pyar se bulate ho,
do kadam saath chaloge shayad,
zindagi bhar ka ghum kyon diye jaate ho..

——————————————

rishta ek buna tha humne,
ab toh taana baana hai..
girhen khul khul jaati hain sab,
bas ab yehi fasaana hai..

ek sire par nazuk lamhe,
ek sire par an-ban si..
judey they bandhan kai tarah se,
mushkil ab suljhana hai..

kasme waade jhoothe they sab,
jhoothi thi woh teri wafa
waqt ne sach sab bata diya hai..
ab hum se kya chupana hai..

bikhre hain us khwab ke tukde,
dil hai zakhmi kirchon se..
armaanon ka mahal tha jinse..
woh kehte hain… ab jaana hai..

dil ka haal sunaate hain jab,
majma sa lag jaata hai..
zakhmon ki har aah.. par wah wah..
ya khuda… kya zalim zamaana hai..

kis se kahen, ab kise sunaae,
dost rahe, na dushman hee
sannaaton se baatein karte,
ab toh rukhsat paana hai..

Read Full Post | Make a Comment ( None so far )

Liked it here?
Why not try sites on the blogroll...